Muddat PDF Print E-mail

Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha

Woh laut kar na aaya magar intezaar tha

 

Jo humsafar tha chorr  gaya raah may mujhe

May phans gayee bhanwar main woh darya ke paar tha

 

Manzil qareeb aayi to tum door hogaye

Itna to tum batao kay  yeh kaisa Pyaar tha

 

Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan

Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha

 

Yeh mukhtasar sa  haal hai rukhsat ke waqt ka

Ankhon main aansu aur Dil beqaraar  tha

 

Yeh baat umer bhar samjh na paayi may

Kyun Dil mera us ka  talabgaar tha


 

Friend

Main Menu


Warning: Parameter 1 to modMainMenuHelper::buildXML() expected to be a reference, value given in /home/timepass/public_html/yuvafun.com/libraries/joomla/cache/handler/callback.php on line 99